Sunday, June 13, 2010

Ek din

Subah-subah khabar padhi, din mehenga ho gaya hai
Vaqt ne bhi lamhon ke daam badha diye hain
Suna hai ab din guzaarne par bhi tax lagega
Aur khuda ka naam bhi loon toh bill aayega
Na khwab saste honge ab, na neend muft milegi
Khoon paseene se milegi thodi si zindagi

Dekh maine tere liye… kuch lamhe bachakar rakhe hain
Ke tu paas ho, toh kharch kar doon

Thursday, May 6, 2010

Ab niyam badalne chahiye

Is yug mein mahabharat ke
naye niyam hone chahiye
Is yuddh ke maidaan mein
'do' krishna hone chahiye

Aaj ke arjun ko ab phir
kaun yeh samjhaayega
Vaqt woh nahin hai ab
geeta badalni chahiye

Gir padhe hain shabd aur
woh arth har updesh ke
karm ke us phal ki bhi
ab fiqr honi chahiye

Jo hua achcha nahin
jo ho raha achcha nahin
Aane waale kal se toh
ummeed honi chahiye

Khaali haath aaye they
par khaali haath jaayein kyon
Apne bhi is naam ki
maala nikalni chahiye

Is yug mein mahabharat ke
naye niyam hone chahiye
Is yuddh ke maidaan mein
'do' krishna hone chahiye