Friday, August 30, 2013

Neend kab khulegi

Phir wahi din, phir wahi subah. Phir wahi jaldi office bhaagne ki. Auto se utar ke daud ke card punch karna. Aur dekhna phir aaj 10 baj ke 1 minute ho gaye. Aaj phir late mark lag gaya. Moondhi-moondhi ankhon se computer khola. 2 cup coffee ke baad bhi ankhon se neend hi nahin jaati. Coffee sabki neend khol deti hai. Meri neend kab khulegi?

Mujhe bola ek ad ki headline chahiye. ‘is diwali patakhon se zyada aapke baal chamkenge’. Chhapne chala gaya. Jhooth bola maine logon se. Shayad is ad ko padh ke hazaaron log yeh tel khareedenge. Maine jhooth bola aur logon ne maan bhi liya. Main kyon kuch nahin karta. Lekhak hoon. Kuch toh aisa kar sakta hoon jo duniya badal de. Meri neend kab khulegi?

Bas yeh do paragraph likhne ke baad hi mann oob gaya. Mann hua band kar doon. Zindagi is tarah soyi hi achchi hai. Jaagegi toh khoob hudh-dang machaayegi. Bilkul us bachche ki tarah jo thak kar is tarah soya hai ki bahot masoom lag raha hai. Andar se dil chahta hai ki jaga doon. Lekin jag gaya toh intezaar rahega ki kab soyega. Bas aisi hi hai thodi si zindagi. Jab jaagti hai toh sochte hain kab soyegi. Aur jab soti hai toh sochta hoon, neend kab khulegi?

Aas paas logon ko dekhkar ajeeb si koft hoti hai. Swaarthi hain? Bekhabar hain? So rahe hain? Mar gaye hain? Unhein woh kyon nahin dikhta jo mujhe dikhta hai? 4 by 4 ke in cabins mein khud hi sadte hain aur sham ko nikale vaqt shikaayatein is tarah karte hain jaise galti toh poori duniya ki hai. Unhein is neend se kaise jagaoon. Joota sungha kar? Ya dhol bajaa kar? Kyon apni duniya mein kaid hain sab. Kyon kshitij ke pare nahin dekh paate. Main agar jag bhi gaya toh sochta hoon, unki neend kab khulegi?

Ghar ki deewaron ko bahot sundar banaaya hai maa ne. Jab dinbhar jaagne ka naatak kar ke ghar pahonchta hoon, toh duniya sundar dikhne lagti hai. Unka haath ka khaana woh khud bina khaaye so jaati hain. Lekin Matar paneer toh unko waise bhi pasand nahin. Phir bhi banaaye hain. Bukhaar bhi tha aaj thoda. Lekin mere kamre mein jo kapde bikhre they, woh tay kiye almaari mein rakhe hain. Ghar mein ek batti faaltu nahin jalti. Water filter se paani nikalta hai, woh paudhon ko milta hai. Khaane ka ek bhi tukda fainka nahin jaata. Akhbar ka har panna unki wajah se recycle hone jaata hai. Kitaabon ka ek bhi akshar unhein padhna nahin aata, phir bhi kitaabon ki izzat karna koi unsey seekhe. Bina padhe, bina seekhe, kaise pal bhar mein woh duniya badal deti hain. Raat bhar soyi huyi bhi lagta hai jag rahi hain. Unhein neend kyon nahin aati?

Monday, May 28, 2012

Jab bhi tujhe mehsoos kiya hai zindagi
udaas paaya hai


Tuesday, June 28, 2011

Birthday

Kuch mere pyaade aur pitey
kuch pyaade tere bhi maare
haathi ghode zinda hain abhi
wazeer ki maut pe sharminda hain abhi
phir ubhrenge is maatam se toh
dekh tere wazeer ki haalat
kya hogi bhagwaan
tu dekh tere pyaadon ki haalat
kya hogi bhagwaan

Thursday, March 31, 2011

Dad

Us bachpan ke din se jab aap gaye
bachpan hai ke jawan hi nahin hota

Happy Birthday dad :-)

Sunday, June 13, 2010

Ek din

Subah-subah khabar padhi, din mehenga ho gaya hai
Vaqt ne bhi lamhon ke daam badha diye hain
Suna hai ab din guzaarne par bhi tax lagega
Aur khuda ka naam bhi loon toh bill aayega
Na khwab saste honge ab, na neend muft milegi
Khoon paseene se milegi thodi si zindagi

Dekh maine tere liye… kuch lamhe bachakar rakhe hain
Ke tu paas ho, toh kharch kar doon

Thursday, May 6, 2010

Ab niyam badalne chahiye

Is yug mein mahabharat ke
naye niyam hone chahiye
Is yuddh ke maidaan mein
'do' krishna hone chahiye

Aaj ke arjun ko ab phir
kaun yeh samjhaayega
Vaqt woh nahin hai ab
geeta badalni chahiye

Gir padhe hain shabd aur
woh arth har updesh ke
karm ke us phal ki bhi
ab fiqr honi chahiye

Jo hua achcha nahin
jo ho raha achcha nahin
Aane waale kal se toh
ummeed honi chahiye

Khaali haath aaye they
par khaali haath jaayein kyon
Apne bhi is naam ki
maala nikalni chahiye

Is yug mein mahabharat ke
naye niyam hone chahiye
Is yuddh ke maidaan mein
'do' krishna hone chahiye